mujhe shad rakhna ki nashad rakhna
mere dida o dil ko aabaad rakhna
bhulai nahin ja sakengi ye baaten
tumhein yaad aaenge hum yaad rakhna
wo nashad o barbaad rakhte hain mujh ko
ilahi unhen shad o aabaad rakhna
tumhein bhi qasam hai ki jo sar jhuka de
usi ko tah-e-tegh-e-bedad rakhna
milenge tumhein rah mein but-kade bhi
zara apne allah ko yaad rakhna
jahan bhi nashe mein qadam laDkhaDaen
wahin ek masjid ki buniyaad rakhna
sitaron pe chalte hue ibn-e-adam
nazar mein farishton ki uftad rakhna
'hafiz' apne afkar ki sadgi ko
takalluf ki uljhan se aazad rakhna
Ghazal
Mujhe shad rakhna ki nashad rakhna
Hafeez Jalandhari