اردو हिंदी
Mujhe rutba-e-gham batana paDega | Shaahi Shayari
mujhe rutba-e-gham batana paDega

Ghazal

Mujhe rutba-e-gham batana paDega

Fana Nizami Kanpuri

;

mujhe rutba-e-gham batana paDega
agar mere pichhe zamana paDega

bahut gham-zada dil hain kaliyon ke lekin
usulan unhen muskurana paDega

sukun DhunDne aae the mai-kade mein
yahan se kahin aur jaana paDega

KHabar kya thi jashn-e-bahaaran ki KHatir
hamein aashiyana jalana paDega

bahaar ab nae gul khilane lagi hai
KHizan ko chaman mein bulana paDega

sukut-e-musalsal munasib nahin hai
asiro tumhein ghul machana paDega

'fana' tum ho shaer to afsana-e-gham
ghazal ki zabani sunana paDega