اردو हिंदी
Mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha | Shaahi Shayari
mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha

Ghazal

Mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha

Naeem Zarrar Ahmad

;

mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha
tere doston mein shumar tha so nahin raha

jise ab samajhte ho bar dida-o-jaan pe
kabhi rah-e-manzil-e-yar tha so nahin raha

teri yaad bhi teri yaad thi so chali gai
tera gham hi mera qarar tha so nahin raha

rah-e-dosti ke musafiro zara dekh kar
isi rah ka main bhi sawar tha so nahin raha

wo jo puchhte hain 'naim' ka use kya hua
unhen kah do un pe nisar tha so nahin raha