mujhe qarar bhanwar mein use kinare mein
so kitni dur talak bahte ek dhaare mein
mujhe bhi paD gai aadat darogh-goi ki
wo mujh se puchhta rahta tha mere bare mein
ye karobar-e-mohabbat hai tum na samjhoge
hua hai mujh ko bahut faeda KHasare mein
kahan raha wo guman ab ki hain zamana-shanas
ulajh ke rah gae zu-mani ek ishaare mein
ajib baat sahi KHud ko dad-e-fan dena
kisi ke lams ki KHushbu hai istiare mein

Ghazal
Mujhe qarar bhanwar mein use kinare mein
Sabir