mujhe pata tha ki ye hadsa bhi hona tha
main us se mil ke na tha KHush juda bhi hona tha
chalo ki jazba-e-izhaar chiKH mein to Dhala
kisi tarah ise aaKHir ada bhi hona tha
bana rahi thi ajab chhitr Dubti hui sham
lahu kahin kahin shamil mera bhi hona tha
ajab safar tha ki hum raston se kaTte gae
phir is ke baad hamein lapata bhi hona tha
main tere pas chala aaya le ke shikwe-gile
kahan KHabar thi koi faisla bhi hona tha
ghubar ban ke uDe tez-rau ki un ke liye
to kya zarur koi rasta bhi hona tha
sarae par tha dhuan jama sari basti ka
kuchh is tarah ki koi saneha bhi hona tha
mujhe zara sa guman bhi na tha akela hun
ki dushmanon ka kahin samna bhi hona tha
Ghazal
Mujhe pata tha ki ye hadsa bhi hona tha
Rajinder Manchanda Bani