اردو हिंदी
Mujhe pata hai bas itna ki pyar karna hai | Shaahi Shayari
mujhe pata hai bas itna ki pyar karna hai

Ghazal

Mujhe pata hai bas itna ki pyar karna hai

Tarkash Pradeep

;

mujhe pata hai bas itna ki pyar karna hai
aur ek bar nahin bar bar karna hai

tum apna kaam ab achchhe se kyun nahin karti
tumhaara kaam mujhe be-qarar karna hai

tujhe gale se laga ke bhi dekha jaega
abhi to mujh ko tera intizar karna hai

main is jahan ke liye KHud ko chhoD baiTha hun
isi jahan ne mujhe darkinar karna hai