mujhe nahin hai koi wahm apne bare mein
bharo na had se ziyaada hawa ghubare mein
tamasha KHatm hua dhup ke madari ka
sunahri sanp chhupe sham ke piTare mein
jise main dekh chuka us ko log kyun dekhen
na chhoDi koi bhi baqi kashish nazare mein
wo bolta tha magar lab nahin hilata tha
ishaara karta tha jumbish na thi ishaare mein
tamam log gharon ki chhaton pe aa jaen
baDi kashish hai nae chand ke nazare mein
mile mujhe bhi agar koi sham fursat ki
main kya hun kaun hun sochunga apne bare mein
purani samt muDega na koi bhi 'sajid'
ye ahd-e-nau na bahega qadim dhaare mein
Ghazal
Mujhe nahin hai koi wahm apne bare mein
Iqbal Sajid