mujhe na dekho mere jism ka dhuan dekho
jala hai kaise ye aabaad sa makan dekho
na chaT jae kaDi dhup surKHiyan lab ki
shajar ki chhanw kisi ghar ka saeban dekho
mohabbaton ki tasalli bahut zaruri hai
sitam ke shahr mein ek yar-e-mehrban dekho
koi bharosa nahin abr ke barasne ka
baDhegi pyas ki shiddat na aasman dekho
tumhaara waqt nahin sach ke bolne walo
na chup rahoge to kaT jaegi zaban dekho
koi hasin abhi raste se guzra hai
lagao aankh se qadmon ke jo nishan dekho
hunar to roz hi bikta hai chand sikkon mein
KHarid le na zamana tumhein aman dekho
nahin hai tum mein saliqa jo ghar banane ka
to 'ashk' jao parindon ke aashiyan dekho
Ghazal
Mujhe na dekho mere jism ka dhuan dekho
Ibrahim Ashk