mujhe mili hai agar infiradiyat ki sanad
bacha ke laya hun apni salahiyat ki sanad
bhula diye hain alif-lailwi sabhi qisse
ghazal ne jab se mujhe di jadidiyat ki sanad
pareshan-haal hai har shaKHs is zamane mein
mili hai kis ko yahan KHair-o-afiyat ki sanad
tha apne shahr mein muddat se ajnabi ki tarah
janab mujh ko mili aaj shahriyat ki sanad
tum ek ahl-e-suKHan ho adab ke tare ho
tum apne ahd se lo apni ahmiyat ki sanad
KHuda ka shukr hai a 'ram' is zamane mein
main zinda hun hai yahi meri KHairiyat ki sanad

Ghazal
Mujhe mili hai agar infiradiyat ki sanad
Ram Daas