mujhe masumiyat se dekhta hai
wo dhoka khae hai ya de raha hai
main kitna ajnabi hun apni KHatir
mujhe har aadmi pahchanta hai
ajab hai teri yak-rangi ki pyare
jahan tak dekhta hun aaina hai
hamari bhuk se bhuki hai duniya
hamari pyas se sahra bana hai
nikal bhi lo ki is basti mein aksar
darichon se samundar jhankta hai
wo apne hath par mehndi racha kar
muqaddar ki lakiren DhunDhta hai
tere honTon ki nam golaiyon mein
na jaane kis ke dukh ka zaiqa hai
kahin 'pashi' kahin 'alwi' kahin 'ashk'
bas ek dukh hai magar kai tarah ka hai
Ghazal
Mujhe masumiyat se dekhta hai
Bimal Krishn Ashk

