اردو हिंदी
Mujhe kuchh aur bhi tapta sulagta chhoD jata hai | Shaahi Shayari
mujhe kuchh aur bhi tapta sulagta chhoD jata hai

Ghazal

Mujhe kuchh aur bhi tapta sulagta chhoD jata hai

Ishrat Zafar

;

mujhe kuchh aur bhi tapta sulagta chhoD jata hai
sahab aksar mere sine pe dariya chhoD jata hai

wahi ek raegan lamha ki main jis ka shanawar hun
nigahon mein meri shahr-e-tamasha chhoD jata hai

guzarta hai jis aaine se bhi mausam shararon ka
chaman ko sath le jata hai sahra chhoD jata hai

nawah-e-dasht mein KHush-manzari taqsim karta hai
wo baadal jo meri basti ko pyasa chhoD jata hai

mere kamre ki diwaron mein aise aaine bhi hain
ki jin ke pas har shaKHs apna chehra chhoD jata hai

wo mere raaz mujh mein chahta hai munkashif karna
mujhe mere ghane sae mein tanha chhoD jata hai

ajab shoala hai 'ishrat' us ka lams-e-be-nihayat bhi
mere chaaron taraf jo ek ujala chhoD jata hai