اردو हिंदी
Mujhe kisi pe mohabbat ka kuchh guman sa hai | Shaahi Shayari
mujhe kisi pe mohabbat ka kuchh guman sa hai

Ghazal

Mujhe kisi pe mohabbat ka kuchh guman sa hai

Shafaq Sopori

;

mujhe kisi pe mohabbat ka kuchh guman sa hai
wo be-sabab hi sahi mujh pe mehrban sa hai

yahan pe ab koi mausam nahin udasi ka
ki mera dil bhi mere shahr-e-be-aman sa hai

kahan utar lun teri nazar ki pak kiran
kinara-e-dil-o-jaan tak dhuan dhuan sa hai

ye zud rang hawaon ke mausamon ka nagar
fareb ho ki wafa jo hai na-gahan sa hai

zara ajab zara dilchasp aur zara ghamnak
fasana tere 'shafaq' ka bhi dastan sa hai