mujhe kaif-e-hijr aziz hai tu zar-e-visal sameT le
main jo tera koi gila karun meri kya majal sameT le
mere harf o saut bhi chhin le mere sabr-o-zabt ke sath tu
mera koi mal bura nahin mera sara mal sameT le
ye tamam din ki masafaten ye tamam raat ki aafaten
mujhe in dinon se najat de mera ye wabaal sameT le
sabhi reza reza inayaten usi ek ki hain riwayaten
wo jo lamha lamha bikher de wo jo sal sal sameT le
tere intizar mein is tarah mera ahad-e-shauq guzar gaya
sar-e-sham jaise bisat-e-dil koi KHasta-haal sameT le
tere ruKH pe chand bhi dard hai tera is mein kaun sa harj hai
tu agar ye hashiya chhoD de to agar ye baal sameT le
ye hamara shauq tha hum ne apne gulon mein parinde saja liye
use iKHtiyar hai 'ram' jab bhi wo chahe jal sameT le

Ghazal
Mujhe kaif-e-hijr aziz hai tu zar-e-visal sameT le
Ram Riyaz