mujhe jab bhi kabhi teri kami mahsus hoti hai
teri KHushbu teri maujudgi mahsus hoti hai
yahi inam hai shayad meri chehra-shanasi ka
KHud apni shakl bhi ab ajnabi mahsus hoti hai
yunhi be-kaif lamhon ke guzar jaane se kya hasil
kisi ka sath ho to zindagi mahsus hoti hai
kisi ki yaad ke jugnu safar mein jhilmilate hain
andhere raston par raushni mahsus hoti hai
zaruri to nahin takmil se taskin ho jae
samundar ko bhi aksar tishnagi mahsus hoti hai
tasawwur ki zamin par fasl ugti hai sarabon ki
nami hoti nahin lekin nami mahsus hoti hai
na jaane kaun sa rishta hai apne darmiyan 'salim'
tu KHush hota hai to mujh ko KHushi mahsus hoti hai
Ghazal
Mujhe jab bhi kabhi teri kami mahsus hoti hai
Salim Shuja Ansari