اردو हिंदी
Mujhe is ka koi gila nahin ki bahaar ne mujhe kya diya | Shaahi Shayari
mujhe is ka koi gila nahin ki bahaar ne mujhe kya diya

Ghazal

Mujhe is ka koi gila nahin ki bahaar ne mujhe kya diya

Kaleem Aajiz

;

mujhe is ka koi gila nahin ki bahaar ne mujhe kya diya
teri aarzu to nikal di tera hausla to baDha diya

go sitam ne tere har ek tarah mujhe na-umid bana diya
ye meri wafa ka kamal hai ki nibah kar ke dikha diya

koi bazm ho koi anjuman ye shiar apna qadim hai
jahan raushni ki kami mili wahin ek charagh jala diya

tujhe ab bhi mere KHulus ka na yaqin aae to kya karun
tere gesuon ko sanwar kar tujhe aaina bhi dikha diya

meri shairi mein tere siwa koi majra hai na muddaa
jo teri nazar ka fasana tha wo meri ghazal ne suna diya

ye gharib 'ajiz'-e-be-watan ye ghubar-e-KHatir-e-anjuman
ye KHarab jis ke liye hua usi bewafa ne bhula diya