mujhe ilzam na de tark-e-shakebai ka
mujh se poshida hai aalam teri ranai ka
mana-e-jalwagari KHauf hai ruswai ka
bas usi par tumhein dawa hai zuleKHai ka
kya kahun gar use eajaz-e-mohabbat na kahun
husn KHud mahw-e-tamasha hai tamashai ka
ashk jo aankh se bahar nahin aane pata
aaina hai mere jazbaat ki gahrai ka
tere aaghosh mein kya jaaniye kya aalam ho
dil dhaDakta hai tasawwur se tamannai ka
shikan-e-bistar-o-namnaki-e-barish hain gawah
puchh lo un se fasana shab-e-tanhai ka
kashish-e-badr se chaDhta hua dariya dekha
allah allah wo aalam teri angDai ka
Ghazal
Mujhe ilzam na de tark-e-shakebai ka
Andaleeb Shadani