mujhe ho na phir nadamat kahin arz-e-haal kar ke
main KHamosh rah gaya hun yahi ehtimal kar ke
na rahe koi bhi shikwa mujhe phir tere karam ka
jo ata mujhe ho saqi to ho ye KHayal kar ke
mujhe aap ne jo dekha tha wo ittifaq lekin
mere doston ne chheDa mujhe kya KHayal kar ke
meri aarzu ko Tala mujhe uljhanon mein Dala
kabhi kuchh sawal kar ke kabhi kuchh sawal kar ke
koi gham agar nahin hai to wo kya sabab hai jis ne
ai 'amir' rakh diya hai tujhe KHasta-haal kar ke

Ghazal
Mujhe ho na phir nadamat kahin arz-e-haal kar ke
Mohammad Amir Azam Quraishi