اردو हिंदी
Mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin | Shaahi Shayari
mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin

Ghazal

Mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin

Khwaja Meer u0027Dardu0027

;

mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin
koi aur bhi hai tere siwa tu agar nahin tu jahan nahin

paDi jis taraf ko nigah yan nazar aa gaya hai KHuda hi wan
ye hain go ki aankhon ki putliyan mere dil mein jae butan nahin

mere dil ke shishe ko bewafa tu ne TukDe TukDe hi kar diya
mere pas to wahi ek tha yan dukan-e-shisha-garan nahin

mujhe raat sari hi tere han kaTe kyun ke rote na shama san
ki ho sake hai kuchh ab bayan na ye baat hai ki zaban nahin

koi samjhe kyun ke ye muddaa ki paheli sa hai ye majra
kaha main tujhe nahin chah kya laga kahne mujh se ki han nahin

na mila hamein koi nukta-dan ye bipat suna den bhala kahan
na hua sabhon pe wahi ayan jo kasu se yan to nihan nahin

tujhe dard kyun ki sunaun main na KHuda kisi ko dikhae ye
jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kya ki us ka bayan nahin