mujhe batlaiye ab kaun si jine ki surat hai
zamana is ghane jangal mein ek chite ki surat hai
bikharte jism le kar tund tufanon mein baiThe hain
koi zarre ki surat hai koi Tile ki surat hai
chura laya tha aankhon mein jo ek taswir duniya ki
wo ab sahra mein ek sahme hue bachche ki surat hai
meri tahrir ke har lafz mein zinda hain aawazen
magar hairan hun chehra mera katbe ki surat hai
ye kaisi aag hai 'afzal' jale sae bhi peDon ke
dhuen mein kis taraf jaun ajab raste ki surat hai
Ghazal
Mujhe batlaiye ab kaun si jine ki surat hai
Afzal Minhas