mujh tak nigah aai jo wapas palaT gai 
phaila jo mera shahr to pahchan ghaT gai 
main chup raha to aankh se aansu ubal paDe 
jab bolne laga meri aawaz phaT gai 
is ka nahin hai ranj ki taqsim ghar hua 
phulon bhari jo bel thi aangan mein kaT gai 
jine ki KHwahishon ne sabhi zaKHm bhar diye 
aaankhon se ashk mez se taswir haT gai 
dast-e-bahaar-e-rang ne KHushbu bikheri thi 
phir apne aap phul se titli lipaT gai 
manzar jo chahta hun wahi dekhta hun main 
main kya karunga 'shaz' jo ye dhund chhaT gai
        Ghazal
Mujh tak nigah aai jo wapas palaT gai
Zakariya Shaz

