mujh se ye pyas ka sahra nahin dekha jata
roz ab KHwab mein dariya nahin dekha jata
zarf ka aks kahin aur hi chal kar dekhen
aainon mein to ye chehra nahin dekha jata
tu hansi le ke meri aankh ko aansu de de
mujh se sukha hua dariya nahin dekha jata
dil ke auraq ki tahrir paDhi jati hai
un ke darbar mein sajda nahin dekha jata
pursish-e-gham ki sabhi rasm hain baqi lekin
in charaghon mein ujala nahin dekha jata
ahmiyat johd-e-musalsal ki nahin kam 'hamid'
sirf taqdir ka likhkha nahin dekha jata
Ghazal
Mujhse ye pyas ka sahra nahin dekha jata
Hamid Mukhtar Hamid