اردو हिंदी
Mujhse mansub hai ghubar mera | Shaahi Shayari
mujhse mansub hai ghubar mera

Ghazal

Mujhse mansub hai ghubar mera

Kashif Husain Ghair

;

mujh se mansub hai ghubar mera
qafile mein na kar shumar mera

har nai sham meri ujrat hai
din batana hai rozgar mera

ye teri jagti hui aankhen
in pe har KHwab ho nisar mera

kaun aata nahin idhar phir bhi
dhyan jata hai bar bar mera

raat ke sath sath baDhta gaya
in charaghon pe e'tibar mera

waqt itna kahan tha waqt ke pas
warna karta wo intizar mera

kya ajab hai ki sar-buland kare
ek din mujh ko inkisar mera

nind par meri dastaras ghaer
aur na KHwabon pe iKHtiyar mera