mujh se hi mujh ko ab to milata nahin koi
ek aaina bhi mujh ko dikhata nahin koi
kya jaane kya hue wo sharafat pasand log
ab KHairiyat bhi un ki batata nahin koi
is KHauf mein ki khud na bhaTak jaen rah mein
bhaTke huon ko rah dikhata nahin koi
sachchaiyon ke raste sunsan ho gae
bhule se bhi yahan nazar aata nahin koi
hassas hain jo aap to chehre paDha karen
zaKHmon ko apne aap dikhata nahin koi
nakaamiyon ki sej pe baiTha hun is liye
'taban' yahan se mujh ko uThata nahin koi
Ghazal
Mujhse hi mujhko ab to milata nahin koi
Anwar Taban