mujh se bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin
main tumhein yaad nahin aaunga aisa bhi nahin
main ne daman bhi bachaya to gunahgar hua
aur phir yun hua gharqab ki ubhra bhi nahin
wo tera zabt-e-mohabbat ho ki duniya ka nifaq
sab hi apne hain koi dard paraya bhi nahin
qadr-dan chahne walon ke ajab hote hain
us ne pahchan liya aur mujhe dekha bhi nahin
main use bhul ke zinda bhi nahin rah sakta
aur mera ahd mujhe puchhne wala bhi nahin
Ghazal
Mujhse bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin
Iqbal Ashhar Qureshi