اردو हिंदी
Mujh sa betab yahan koi nahin mere siwa | Shaahi Shayari
mujh sa betab yahan koi nahin mere siwa

Ghazal

Mujh sa betab yahan koi nahin mere siwa

Arshad Abdul Hamid

;

mujh sa betab yahan koi nahin mere siwa
yani barbaad-e-jahan koi nahin mere siwa

raushni thi to kai sae nazar aate the
tirgi hai to yahan koi nahin mere siwa

bhiD mein ek taraf gosha-e-iKHlas bhi hai
ghaur se dekh wahan koi nahin mere siwa

shahr mere hi bharose pe ho KHufta jaise
hadaf-e-shor-e-sagan koi nahin mere siwa

sar-bulandi meri tanhai tak aa pahunchi hai
main wahan hun ki jahan koi nahin mere siwa

sher mein ghair ki tashbih kahan se aae
meri manind yahan koi nahin mere siwa

chain likhta hai mere KHwab ka rawi 'rashid'
is samundar mein rawan koi nahin mere siwa