mujh sa betab howe jab koi 
be-qarari ko jaane tab koi 
han KHuda maghfirat kare us ko 
sabr marhum tha ajab koi 
jaan de go masih par us se 
baat kahte hain tere lab koi 
baad mere hi ho gaya sunsan 
sone paya tha warna kab koi 
us ke kuche mein hashr the mujh tak 
aah-o-nala kare na ab koi 
ek gham mein hun main hi aalam mein 
yun to shadan hai aur sab koi 
na-samajh yun KHafa bhi hota hai 
mujh se muKHlis se be-sabab koi 
aur mahzun bhi hum sune the wale 
'mir' sa ho sake hai kab koi 
ki talaffuz tarab ka sun ke kahe 
shaKHs hoga kahin tarab koi
        Ghazal
Mujh sa betab howe jab koi
Mir Taqi Mir

