mujh pas kabhi wo qad-e-shamshad na aaya
is ghar mane wo dil-bar-e-ustad na aaya
gulshan meri ankhiyan mein lage gulKHan-e-dozaKH
jo sair ko mujh sath pari-zad na aaya
sanjh aai diyo din bi hua fikr mein aaKHir
wo dil-bar-e-jadu-gar-o-sayyaad na aaya
aaya na haman pas kiya wada-KHilafi
'faez' ka kuchh ahwal magar yaad na aaya
Ghazal
Mujh pas kabhi wo qad-e-shamshad na aaya
Faez Dehlvi

