mujh ko zinda rahne ka ek jazba aa ke mar gaya
main apni sanson se aaKHir laDte laDte haar gaya
apni ninden apni raaten apni aankhen apne KHwab
tum ko jitne ki KHatir mein apna sab kuchh haar gaya
jaisi chizen mujh mein thin sab waisi duniya mein bhi thin
apne andar se main bahar aaKHir ko be-kar gaya
ishq ke is saude mein mujh ko itna bhi malum nahin
kitni teri nafrat aai kitna mera pyar gaya
yaad rakhenge duniya wale meri is qurbani ko
pahle junun ko aam kiya aur phir main su-e-dar gaya

Ghazal
Mujhko zinda rahne ka ek jazba aa ke mar gaya
Shehzad Raza Lams