اردو हिंदी
Mujhko taqdir ne yun be-sar-o-asar kiya | Shaahi Shayari
mujhko taqdir ne yun be-sar-o-asar kiya

Ghazal

Mujhko taqdir ne yun be-sar-o-asar kiya

Arshad Abdul Hamid

;

mujh ko taqdir ne yun be-sar-o-asar kiya
ek darwaza dua ka tha so diwar kiya

KHwab-e-ainda tere lams ne sarshaar kiya
KHushk baadal the hamein tu ne guhar-bar kiya

dekhne ki thi nigahon mein ana ki surat
us giraftar ne jab mujh ko giraftar kiya

muddaton ghaw kiye jis ke badan par hum ne
waqt aaya to usi KHwab ko talwar kiya

meri chahat ne ajab rang dikhaya mujh ko
kashmakash se meri aankhon ko giran-bar kiya

ek masiha ko mera chashm-numa Thahraya
ek qatil ko mera aaina-bardar kiya

kaT kar phenk di sansar ki kuchen hum ne
sabr ko phul kiya phul ko talwar kiya