اردو हिंदी
Mujhko sham-e-hijr ki ye jalwa-arai bahut | Shaahi Shayari
mujhko sham-e-hijr ki ye jalwa-arai bahut

Ghazal

Mujhko sham-e-hijr ki ye jalwa-arai bahut

Shahab Ashraf

;

mujh ko sham-e-hijr ki ye jalwa-arai bahut
mahki mahki yaad teri aur tanhai bahut

umr bhar Darta raha kam-zarfi-e-ehsas se
un ke pahlu mein bhi meri ruh ghabrai bahut

Dub kar un jhil si aankhon mein jab ghazlen kahin
mere in sheron mein tab aai hai gahrai bahut

hum hi kyun teri mohabbat mein tamasha ban gae
is hayat-e-rang-o-bu mein the tamashai bahut

rafta rafta us gali mein be-jhijak jaane laga
pahle pahle to mujhe tha KHauf-e-ruswai bahut

wo khanakte gungunate jhumte gate badan
ahd-e-piri mein jawani hum ko yaad aai bahut

dahki dahki aag si aanchal mein thi shayad 'shahab'
pas se wo shoKH jab guzra to aanch aai bahut