اردو हिंदी
Mujhko meri shikast ki dohri saza mili | Shaahi Shayari
mujhko meri shikast ki dohri saza mili

Ghazal

Mujhko meri shikast ki dohri saza mili

Saqi Faruqi

;

mujh ko meri shikast ki dohri saza mili
tujh se bichhaD ke zindagi duniya se ja mili

ek qulzum-e-hayat ki jaanib chali thi umr
ek din ye ju-e-tishnagi sahra se aa mili

ye kaisi be-hisi hai ki patthar hui hai aankh
waise to aansuon ki kumak bar-ha mili

main kanp uTha tha KHud ko wafadar dekh kar
mauj-e-wafa ke pas hi mauj-e-fana mili

diwar-e-hijr par the bahut sahibon ke nam
ye basti-e-firaq bhi shohrat-sara mili

phir rud-e-bewafai main bahta raha ye jism
ye ranj hai ki teri taraf se dua mili

wo kaun KHush-nasib the jo mutmain phire
mujh ko to us nigah se usrat siwa mili

ye umr umr koi taaqub mein kyun rahe
yaadon mein gunjti hui kis ki sada mili

jis ki hawas ke waste duniya hui aziz
wapas hue to us ki mohabbat KHafa mili