mujh ko meri shikast ki dohri saza mili
tujh se bichhaD ke zindagi duniya se ja mili
ek qulzum-e-hayat ki jaanib chali thi umr
ek din ye ju-e-tishnagi sahra se aa mili
ye kaisi be-hisi hai ki patthar hui hai aankh
waise to aansuon ki kumak bar-ha mili
main kanp uTha tha KHud ko wafadar dekh kar
mauj-e-wafa ke pas hi mauj-e-fana mili
diwar-e-hijr par the bahut sahibon ke nam
ye basti-e-firaq bhi shohrat-sara mili
phir rud-e-bewafai main bahta raha ye jism
ye ranj hai ki teri taraf se dua mili
wo kaun KHush-nasib the jo mutmain phire
mujh ko to us nigah se usrat siwa mili
ye umr umr koi taaqub mein kyun rahe
yaadon mein gunjti hui kis ki sada mili
jis ki hawas ke waste duniya hui aziz
wapas hue to us ki mohabbat KHafa mili
Ghazal
Mujhko meri shikast ki dohri saza mili
Saqi Faruqi