اردو हिंदी
Mujhko KHushiyan na sahi gham ki kahani de de | Shaahi Shayari
mujhko KHushiyan na sahi gham ki kahani de de

Ghazal

Mujhko KHushiyan na sahi gham ki kahani de de

Ahsan Imam Ahsan

;

mujh ko KHushiyan na sahi gham ki kahani de de
jis ko main bhul na paun wo nishani de de

mujh ko buDha na kahe mere zamane wala
ai KHuda mujh ko wo eajaz-e-jawani de de

raat-bhar jagta rahta hun ki jina hai azab
aankhen jo chahti hain nind suhani de de

sun ke ghazlon ko meri jhum uThe har koi
mere ashaar ko wo husn-o-maani de de

yaad kar ke main jise bhul sakun gham 'ahsan'
tu mujhe aisi koi chiz purani de de