اردو हिंदी
Mujhko KHamoshi-e-haalat se Dar lagta hai | Shaahi Shayari
mujhko KHamoshi-e-haalat se Dar lagta hai

Ghazal

Mujhko KHamoshi-e-haalat se Dar lagta hai

Amir Riyaz

;

mujh ko KHamoshi-e-haalat se Dar lagta hai
ye mujhe daur-e-siyasat ka asar lagta hai

be-amal main tha magar rab ne mujhe baKHsh diya
ye meri man ki duaon ka asar lagta hai

jab se wo dur hua hai meri in aankhon se
dil mera dil nahin ujDa sa nagar lagta hai

jab se dekha hai tujhe khoya hua rahta hun
ye teri shoKH nigahon ka asar lagta hai

har taraf dard hai tariki udasi hai bahut
kis qadar saKHt ye sanson ka safar lagta hai

har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain
ye mujhe mere gunahon ka asar lagta hai

ek naqsh aisa banaya hai teri yaadon ne
zehan se ruh talak tera hi ghar lagta hai