mujh ko hona hai to darwesh ke jaisa ho jaun
manzilen sab ke liye aur main rasta ho jaun
kitna dushwar hai ek lamha bhi apna hona
us ko zid hai ki main har haal mein us ka ho jaun
main ne aankhon ko teri ghaur se dekha hai bahut
ye to mumkin hi nahin hai ki main andha ho jaun
jo hararat hai badan mein wo tere lams ki hai
tu mujhe gar na chhue miTTi ka tuda ho jaun
is qadar lutf bikharne mein mila hai mujh ko
main ne koshish hi nahin ki kabhi yakja ho jaun
phir ye Darta hun KHuda jaane bhala kaisa ho
ji mein aata hai kabhi apna bhi chehra ho jaun
ghaebana hi sahi mera taaruf ho jae
main kahani ka kisi tarah se hissa ho jaun
is tarah yaad teri aa ke uchak le mujh ko
dafatan bhiD mein chalte hue tanha ho jaun
in tabibon ko ilaj-e-gham-e-dil kya malum
tum ayaadat ko chale aao to achchha ho jaun
yun hi miTTi mein paDa ek hunar hun main bhi
jauhari mujh ko parakh le to main hira ho jaun
tu nahin yaad nahin koi nahin main bhi nahin
aur kuchh aur main kuchh aur akela ho jaun
Ghazal
Mujhko hona hai to darwesh ke jaisa ho jaun
Sarfraz Nawaz