اردو हिंदी
Mujhko dushwar hua jis ka nazara tanha | Shaahi Shayari
mujhko dushwar hua jis ka nazara tanha

Ghazal

Mujhko dushwar hua jis ka nazara tanha

Saleem Ahmed

;

mujh ko dushwar hua jis ka nazara tanha
kash mil jae kahin mujh ko dobara tanha

ai shab-e-hijr mujhe tu ne to dekha hoga
meri manind na tha subah ka tara tanha

tum na Thahre to kahan mauj-e-gurezan rukti
meri aaghosh ki surat hai kinara tanha

uzr kya kya na tarasha kiye arbab-e-hawas
jaan dene ka hua ishq ko yara tanha

yun bhi mahsus hua jaise ki main hi to hun
ek lamhe mein jise main ne guzara tanha

yun to duniya mein bahut hain ki rahe hain nakaam
bazi-e-ishq ko main jaan ke haara tanha

tu ne ai yar azizan ye inayat kyun ki
zindagi yun bhi na thi mujh ko gawara tanha