mujh ko aashiq kah ke us ke ru-ba-ru mat kijiyo
dostan gar dost ho to ye kabhu mat kijiyo
jis ada ka kushta hun main wo rahe mere hi sath
us ada ko mubtazil ai KHub-ru mat kijiyo
waqt-e-ruKHsat dil ne itna hi kaha ro kar ki bas
ab phir aane ki mere tu aarzu mat kijiyo
main to yunhi tum se diwana sa bakta hun kahin
us ke aage dostan ye guftugu mat kijiyo
zulf ke kuche se ho gulshan mein guzre hai saba
aaj wan ja kar gulon ko koi bu mat kijiyo
kal ke jhagDe mein bhala hai kis ke yaro haq ba-tarf
wajibi jo ho so kahiyo meri ru mat kijiyo
wan 'hasan' hargiz nahin hai Dhil phir jaane mein kuchh
aashnai par bharosa us ki tu mat kijiyo
Ghazal
Mujhko aashiq kah ke uske ru-ba-ru mat kijiyo
Meer Hasan