muhit misl-e-asman zamin-e-fikr-o-fan pe hun
sukut ka sabab hai ye maqam-e-la-suKHan pe hun
faza-e-la-sabaat mein sara-e-be-jihat mein
musafirana KHanda-rez waqt ki thakan pe hun
mere nasib ki sahar ghurub ho gai kahan
nazar jamae der se teri kiran kiran pe hun
sajaun wo chaman jinhen KHizan kabhi na chhu sake
teri tarah jo hukmaran shaguft har chaman pe hun
aziz-tar hai tesha-e-hunar ghubar-e-dard se
tariq-e-qais par nahin tariq-e-koh-kan pe hun
hujum-e-sad-KHayal se najat mil sake agar
to hasidana mo'tariz kisi ki anjuman pe hun
visal hi visal hai firaq ab muhaal hai
main tere har libas ki tarah tere badan pe hun
kisi ke shajra-e-suKHan se nisbat-e-suKHan nahin
main aap apna muddai siyaadat-e-suKHan pe hun

Ghazal
Muhit misl-e-asman zamin-e-fikr-o-fan pe hun
Sahba Akhtar