اردو हिंदी
Muhit-e-KHwab se ek baad-e-tah-nashin ubhri | Shaahi Shayari
muhit-e-KHwab se ek baad-e-tah-nashin ubhri

Ghazal

Muhit-e-KHwab se ek baad-e-tah-nashin ubhri

Mahmood Ayaz

;

muhit-e-KHwab se ek baad-e-tah-nashin ubhri
hawa-e-subh se ek ghurfa-e-KHayal khula

masam-e-jaan mein hai ek dast-e-ashna ki mahak
ghubar-e-dasht mein raushan hai naqsh-e-pa kis ka

wo kaisi did ki saat thi phir nahin aai
wo kaisa KHwab tha ek umr chashm-e-tar mein raha

jo intizar abad tak hai jism-o-jaan ke firaq
jo ho sake to ab is raat ko abad se mila

bahut sambhaal ke rakkhi hai KHalwat-e-jaan mein
wo ek shama ki daur-e-tarab bujha na saka