muhib raat ke gunjaan paniyon se nikal
nai sahar ke sitare tu chimniyon se nikal
har ek had se pare apna boriya le ja
badi ka nam na le aur nekiyon se nikal
ai mere mehr tu us ki chhaton pe aaKHir ho
ai mere mah tu aaj us ki khiDkiyon se nikal
nikal ke dekh teri muntazir qatar qatar
aziz dana-e-gandum tu boriyon se nikal
tu meri nazm ke asrar mein huwaida ho
tu mere kashf ki nadida ghaTiyon se nikal
ai pichhli umr idhar sukhi pattiyon mein aa
ai agle sal bujhi mom-battiyon se nikal
Ghazal
Muhib raat ke gunjaan paniyon se nikal
Javaid Anwar