mughaalta hai uruj-o-zawal thoDi hai
hamari aankh ke shishe mein baal thoDi hai
hamare dil mein kabutar namaz paDhte hain
hamare dil mein tassub ka jal thoDi hai
labaada barf ka oDhe hue hai jwala-mukhi
zamin ke lawe mein ab ke ubaal thoDi hai
hain hum husaini hamein sar kaTana aata hai
hamare pas yazidana-chaal thoDi hai
mere habib ki tamsil DhunDne walo
wo be-misal hai us ki misal thoDi hai
har ek shaKH se jaDe ki barf lipTi hai
abhi daraKHt pe patton ki shaal thoDi hai
ba-roz-e-id bhi roze ke jaisi haalat hai
amir-e-shahr se lekin sawal thoDi hai
kamal jitna bhi hai aag ke badan mein hai
dhuan dhuan hai dhuen mein kamal thoDi hai
azal se chand mein charKHa chala rahi hai magar
'nawaz' ab bhi wo buDhiya niDhaal thoDi hai
Ghazal
Mughaalta hai uruj-o-zawal thoDi hai
Nawaz Asimi