mue sahte sahte jafa-kariyan
koi hum se sikhe wafadariyan
hamari to guzri isi taur umr
yahi nala karna yahi zariyan
farishta jahan kaam karta na tha
meri aah ne barchhiyan mariyan
gaya jaan se ek jahan le ke shoKH
na tujh se gain ye dil-azariyan
kahan tak ye taklif-e-ma la-yutaq
huin muddaton naz-bardariyan
KHat-o-kakul-o-zulf-o-andaz-o-naz
huin dam-e-rah sad-giraftariyan
kiya dard-o-gham ne mujhe na-umid
ki majnun ko ye hi thin bimariyan
teri aashnai se hi had hui
bahut ki thin duniya mein hum yariyan
na bhai hamari to qudrat nahin
khinchin 'mir' tujh se hi ye KHwariyan
Ghazal
Mue sahte sahte jafa-kariyan
Mir Taqi Mir