اردو हिंदी
Muddaton tak jo paDhaya kiya ustad mujhe | Shaahi Shayari
muddaton tak jo paDhaya kiya ustad mujhe

Ghazal

Muddaton tak jo paDhaya kiya ustad mujhe

Hafeez Jalandhari

;

muddaton tak jo paDhaya kiya ustad mujhe
ishq mein bhul gaya kuchh na raha yaad mujhe

kya main diwana hun ya-rab ki sar-e-rahguzar
dur se ghurne lagte hain pari-zad mujhe

ab hai aawaz ki wo shan na bazu ki uDan
aur sayyaad kiye deta hai aazad mujhe

dad-KHwahi ke liye aur to saman na mila
nala-o-ah pe rakhni paDi buniyaad mujhe

mere sheron pe wo sharmae to ahbab hanse
ai 'hafiz' aaj ghazal ki ye mili dad mujhe