muddaton ke baad phir kunj-e-hira raushan hua
kis ke lab par dekhna harf-e-dua raushan hua
ruh ko aalaish-e-gham se kabhi KHali na rakh
yani be-zangar kis ka aaina raushan hua
ye tamasha didani Thahra magar dekhega kaun
ho gae hum rakh to dast-e-dua raushan hua
raat jangal ka safar sab ham-safar bichhDe hue
de na hum ko ye bashaarat rasta raushan hua
KHwahishon KHwabon ka paikar hi sahi mera wajud
ek sitare ki haqiqat kya bujha raushan hua
bu-e-gul patton mein chhupti phir rahi thi der se
na-gahan shaKHon mein ek dast-e-saba raushan hua
is qadar mazbut mausam par rahi kis ki giraft
main ki mujh se sina-e-ab-o-hawa raushan hua
ek zara us se baDhi qurbat to aankhen khul gain
us ke mere bich tha jo fasla raushan hua
waqt ne kis aag mein itna jalaya hai mujhe
jis qadar raushan tha main us se siwa raushan hua
mujh ko meri aagahi aankhon se ojhal kar gai
us ne jo kuchh lauh-e-jaan par likh diya raushan hua
ai 'faza' itni kushada kab thi mani ki jihat
mere lafzon se ufuq ek dusra raushan hua
Ghazal
Muddaton ke baad phir kunj-e-hira raushan hua
Faza Ibn e Faizi