muddat se wo KHushbu-e-hina hi nahin aai
shayad tere kuche ki hawa hi nahin aai
maqtal pe abhi tak jo tabahi nahin aai
sarkar ki jaanib se gawahi nahin aai
duniya ka har ek kaam saliqe se kiya hai
hum logon ko bas yaad-e-KHuda hi nahin aai
jis waqt ki wo hath chhuDane pe ba-zid tha
us waqt koi yaad dua hi nahin aai
lahje se na zahir ho ki hum us se KHafa hain
jine ki abhi tak ye ada hi nahin aai
ruKHsat use ba-dida-e-nam kar to diya tha
phir is se baDi dil pe tabahi nahin aai
milti to zara puchhte ahwal hi us ka
afsos idhar baad-e-saba hi nahin aai
Ghazal
Muddat se wo KHushbu-e-hina hi nahin aai
Fasih Akmal