اردو हिंदी
Muddat ki tishnagi ka inam chahta hun | Shaahi Shayari
muddat ki tishnagi ka inam chahta hun

Ghazal

Muddat ki tishnagi ka inam chahta hun

Hafeez Banarasi

;

muddat ki tishnagi ka inam chahta hun
masti bhari nazar se ek jam chahta hun

ai gardish-e-zamana zahmat to hogi tujh ko
kuchh der ke liye main aaram chahta hun

kal hum se kah raha tha shohrat-talab zamana
tum kaam chahte ho main nam chahta hun

subh-e-hayat le le ai zulf-e-yar lekin
main tujh se is ke badle ek sham chahta hun

baad-e-saba se kah do meri taraf bhi aae
main bhi 'hafiz' un ka paigham chahta hun