muddat hui hai wo mera mehman nahin hua
ghar mein isi sabab se charaghan nahin hua
shamen udas raaten bhi be-nur hain bahut
wo muddaton se bazm-e-nigaran nahin hua
aaega wo zarur meri anjuman mein phir
dil mera is liye bhi hirasan nahin hua
meri ana ne rah mein diwar khinch di
is bar bhi safar mera aasan nahin hua
is bar bhi bahaar nae zaKHm de gai
is bar bhi wo dard ka darman nahin hawa
main ne bhi apni palken bhigoin nahin 'nigar'
wo bhi bichhaDte waqt pareshan nahin hua
Ghazal
Muddat hui hai wo mera mehman nahin hua
Nigar Azeem