mudawa-e-dil-e-diwana karte
ye karte hum to kuchh achchha na karte
wafa sadiq agar hoti hamari
wo karte bhi to jaur itna na karte
hum achchha tha jo bahr-e-parda-poshi
mohabbat ka teri charcha na karte
tumhaari fitna-pardazi ka shikwa
jo hum karte to kuchh beja na karte
nigahen aashiqon ki thi hawas-kar
wo kya karte agar parda na karte
jo phir milne ki hoti kuchh bhi ummid
to hum us ke liye kya kya na karte
talab ka hausla hota to ek din
KHitab us but se bebakana na karte
hamara pas unhen kuchh bhi jo hota
kisi ki aur hum parwa na karte
shakebai ka dam rakhte to 'hasrat'
unhen yun shauq se dekha na karte
Ghazal
Mudawa-e-dil-e-diwana karte
Hasrat Mohani