اردو हिंदी
Mubtala ek but ka hota hun | Shaahi Shayari
mubtala ek but ka hota hun

Ghazal

Mubtala ek but ka hota hun

Kishan Kumaar Waqaar

;

mubtala ek but ka hota hun
aaj iman apna khota hun

tegh-e-abru ke tir ishq mein yar
jaan se apni hath dhota hun

jaan legi ye muft ki begar
bar-e-ranj-e-firaq Dhota hun

ghote khata hun bahr-e-ulfat mein
haal par apne aap rota hun

ek jhuTe ke wasf-e-dandan mein
sachche moti sada pirota hun

dil lagata hun un ki mizhgan se
apne haq mein ye kanTe bota hun

gham mein ek mah-wash ke ashkon se
daman-e-asman bhigota hun

baKHt-e-KHufta ka hun dil-e-bedar
kaun shab ai 'waqar' sota hun