mom ki tarah pighal kar dekho
phir kaDi dhup ka manzar dekho
karb hi karb hai sannaTe ka
jhank kar tum mere andar dekho
nind in palkon se katraegi
aag hai waqt ka bistar dekho
aa gae ho to mere shahr mein bhi
aadmi nam ka KHanjar dekho
koi shishon ka masiha hi nahin
dur tak dekho to patthar dekho
silsila maujon ka jari hai yahan
aao aankhon mein samundar dekho
koi mausam ho mere ghar mein 'rafiq'
wahi sahraon ka manzar dekho

Ghazal
Mom ki tarah pighal kar dekho
Rafiquzzaman